画像1

ムハッラムの哀悼歌 مولا حق امام یا حسن یا حسین

パキスタンの人々
00:00 | 00:00
言語:ウルドゥー

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Wo aabide beemar tha, Chalne se jo lachaar tha
Aur shaam ka bazaar tha, Aur mustafa ki betiyaa

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Shabbir ki wo laadli, Sine pe jo shah ke pali
Jiski abaa ban me jali, Moo per tamacho ke nishaa

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Wo zainabo kulsoom thi, Chaader se jo mehroom thi
Na mehramo ke darmiyaa, Aur murtaza ki betiyaa

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Wo bawafa abbas tha, Phupiyo ki jo eik raas tha
Paani mila jo na piya, Masoom ka ehsaas tha

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Roker kahe qassim ki maa, Mara gaya qassim jawaan
Ay laal mei dhundhu kaha, Bewa ka tha jo aasra

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Wo asghare besheer tha, Aur hurmala ka teer tha
Pyasa ghala kyu kar kata, Royi zamee aur aasmaa

Maula haq imam ya Hassan ya hussain

Pyaase gale khanjar chale, Chaader chini khaime jale
Abbas ke parcham tale, Rokar kahe ye bibiya

いただいたサポートで、日本人のイスラーム研究を応援します!